scroll down for video
“Iss Fabric sey baney sails, iss kapdey sey baney paal key kaaran hi Christopher Columbus apney “Santa Maria” namak Sail ship, apney “Santa Maria” namak paal jahaaj mein sawaar hokey Amerika pahunchey thay”. Namaskar Mitron, main hoon aapka Mitr, Tushar, Charu Creation Pvt Ltd se jo ki ek Fashion Fabric company hai Nehru Place, New Delhi me. Mitron, iss video me hum vistaar mein baat karengey Canvas fabric ki. Toh sabse pehla prashan, kya hai yeh Canvas fabric? Canvas ek plain-weave mein, saada bunnai mein kaskar, tightly bunna hua fabric hai joh adhikansh taur pey Cotton key fibers sey, cotton key reshon sey Nirmit kiya jaata hai. Cotton key atirikt Canvas ka nirmaan Linen fibers, Hemp fibers aur synthetic fibers sey bhi hota hai. Mool roop sey prachin samay mein Canvas ka nirmaan kewal Hemp key reshon sey hota tha.
Canvas shabd Latin bhasha key shabd Cannibis sey utpan hota hai, jiska arth hai Hemp sey banna hua. Bharat mein Cotton Canvas ka nirmaan lagbhag 1500 BC, 1500 Issa Purv sey ho raha hai. Canvas ek strong, sturdy aur thick fabric hai, bahut hi mota aur mazboot kapda hai joh apni water-resistance ability, jal pratirodhee shamta key liye prasidh hai. Thick Yarns, mootey sooton key kaaran, Canvas fabric ka thread count kam hota hai. Dhyaan dijiye, 1 square inch mein warp aur weft yarns key total count ko, 1 square inch mein taney aur baney key sooton ki kul sankhya ko Thread Count kaha jaata hai. Adhikaansh taur pey, Canvas fabric ka Thread Count 50 sey 100 tak ka hota hai. Swabhaavik roop sey Canvas water-resistant hota hai, jal Pratirodhee hota hai. Canvas ko Water-proof bananey key liye, jalrodhak bananey key liye fabric par Polyvinyl Chloride (PVC) ki coating kari jaati hai, parat chadayi jaati hai.
Mitron, Manav itihaas ki kuchh mukhya uplabdhiyon mein Canvas fabric ki ek aham bhumika rahi hai. Udharantha, Sail boats mein Canvas fabric sey baney sails, palnaavon mein Canvas Kapdey sey baney Paal key kaaran hi pragatisheel desh naye naye sthaano ki khoj kar sakey. Canvas fabric ka upyog world renowned Painters aur Artists; vishwa vikhyaat Chitrakaaron aur Kalakaaron key vichaaron aur bhaavnaon ko chitron key maadhyam sey, paintings key maadhyam sey prakat karney key liye kiya gaya hai. Approximately 15th Century tak, kareeb kareeb pandarvee shatabadi tak, Italy key nagar Venice me rehene waaley painters aur artists, chitrakaar aur kalakaar apni Kala ko darshanney key liye frescos aur wooden panels ka upyog kiya kartey thay. Parantu Venice shehar mein Humid environment, namm vaatavaran honey key kaaran frescos Theek tarikey sey sookhta Nahi tha aur wooden panels mein moisture Absorption key kaaran cracks, dararein pad jaati thi. Frescos aur Wooden Panels par bani paintings ko namm vaatavaran shaati pahuncha raha tha.
16th Century mein, solanvee shatabadi mein Iss samasya ka samadhaan diya Canvas fabric ney. Nammi key baavjud Canvas fabric par bani paintings theek sey sookh bhi jaati thi aur Canvas fabric mein cracks, dararey bahut kamm padti thi. Yeh dekhtey huey ki Samudri sheher, Venice mein sthith sailboats kay sails, pal jahaaj key paal kaa nirmaan Pehle sey hi Linen Canvas aur Hemp Canvas sey kiya jaa raha tha, issi liye Linen aur Hemp Canvas fabric Venice key Chitrakaaron key liye saralta sey uplabdh bhi tha aur sasta bhi tha. Hemp aur Linen Canvas par Oil Paintings bananey ka trend, bananey ka chalan Italy se hotey huey Spain pahuncha aur 17th century tak, satarveen shatabadi tak poorey uttari europe mein phaeil gaya.
Mitron 1410 issavi mein Canvas par banaayi gayi prasidh Oil Painting “French Madonna with Angels” aaj bhi Berlin ki Gemäldegalerie mein Surakshit hai. Jahaan Oil Paintings key liye Linen Canvas ko aaj bhi pasand kiya jaata hai wahin Acrylic Paints key liye Cotton Canvas Painters ki pehli pasand hai. Cotton Canvas Linen aur Hemp Canvas ki tulna mein adhik flexible, lacheela hai. Issi kaaran Cotton Canvas par bani paintings mein Hemp aur Linen Canvas ki tulna mein Cracks, Daraarein padney ki sambhaavnayein bahut kamm hoti hain. Saath hi saath, teeno Canvas mein, Cotton Canvas sabse economical, sabse sasta hai. Koyi achambey ki baat nahi hai ki Paintings bananey key liye poorey vishwa mein sabse adhik upyog Cotton Canvas ka hi hota hai. Aadhunik yug mein, Polyester Cotton Canvas, Polyester aur Cotton key reshon key mishran sey baney Canvas fabric ka upyog na keval paintings bananey key liye kiya jaata hai apitu offset printing aur digital inkjet printing dwaara photos print karney key liye bhi kiya jaata hai.
Mitron ab baat kartey hain bhinn bhinn prakaar key Canvas Fabrics sey baney doosrey kuchh utpadon ki. Hand Bags, Jackets, Tents, Outdoor gear bananey key liye Waxed Canvas ka upyog kiya jaata hai. Iss prakaar ki Canvas mein fabric par Wax ki ek parat chadayi jaati hai jo Canvas ki Water resistance ability, strength aur Durability; jal pratirodhee shamta, mazbooti aur sthaaitav kayi guna bada deti hai. Waxed Canvas fabric stain resistant, daag dhabey pratirodhee bhi hota hai. Mitron shoes, jootey nirmit karney key liye Duck Canvas ka upyog kiya jaata hai. Cotton reshon sey nirmit Duck Canvas mein Normal ya Plain Canvas ki tulna mein patley soot, finer yarns hotey hain. Iss prakaar ki Canvas Apparels aur aisey fabric products key liye bhi upyukt hai jo twacha ko chhutey hain. Normal ya Plain Canvas ki tulna mein adhik narm honey key bawjood plain Canvas ki tarah hi Duck Canvas water resistant, jal pratirodhee hoti hai. Duck Canvas fabric ka Thread Count 100 sey 150 key beech ka hota hai.
Martial Art Uniforms ka nirmaan Duck Canvas fabric sey badey istar par kiya jaata hai. Apparels ya kahein Paridhan ka nirmaan karney key liye Duck Canvas key atirikt Cotton Linen Canvas, Cotton aur Linen key reshon key mishran sey nirmit Canvas ka upyog bhi kiya jaata hai. Mitron, agla Canvas fabric hai Needlepoint canvas. Iss white ya beige color key Canvas fabric ka upyog needlepoint embroidery key liye kiya jaata hai.
Mitron, aap jaan key achambhit hongey ki adhikaansh ghaaron ki bahaari diwaaron par lagi parchaati, jisse angrezi mein awning kaha jaata hai, wo bhi Acrylic Canvas sey hi nirmit hai. Out door Furniture aur speed boats key Cushion Covers ka nirmaan bhi Acrylic Canvas sey hi kiya jaata hai. Mitron, iss video ko dekhne ke liye main aap sabhi ka abhaar prakat karta hoon. Main aasha karte hoon ki hamare fabrics se banaye huye products, banaye gaye utpaad aapke jeevan me sakaraatmak urja, positive energy ko badaayenge.
Canvas fabrics ki collection dekhne ke liye, nichey description me diye gaye link par click karein. Kissi bhi prakar ki fabrics ki jaankaari key liye aap humme +91-9971106200 par call kar sakte hain ya charu@charu.org.in par email bhej sakte hai. Mitron, ab aap hamarey fabrics Charu Creation ki Mobile App key madhyam sey bhi order kar saktey hain. Google Playstore sey Charu Creation ki App download karney key liye nichey description me diye gaye link par click karein. Mitron, aap agla video kiss vishay, kiss topic par dekhna chahengey, hummey comments me likhkar avashey batayein. Dhanyawaad, aapka din shubh ho.