X
Home » Charu Creation Fashion Fabric Store Blogs » पतले लोगो के लिए सबसे अच्छा फैब्रिक || हिंदी में ||

पतले लोगो के लिए सबसे अच्छा फैब्रिक || हिंदी में ||

पतले लोगो के लिए सबसे अच्छा फैब्रिक || हिंदी में ||

scroll down for video

“Patley dubley logon key shareer ko, underweight logon ki body ko yeh fabric volume aur fullness provide karta hai”. Namaskar Mitron, main hoon aapka Mitr, Tushar, Charu Creation Pvt Ltd se jo ki ek Fashion Fabric company hai Nehru Place, New Delhi me. Mitron, iss video me hum baat karenge Pleated fabric ki. Toh sabse pehla prashan, kya hai yeh pleated fabric? Jiss fabric mein sthaayee roop se, permanently, Pleats set hoon, vyavasthith hoon ussey Pleated Fabric yah Pre-Pleated Fabric kaha jaata hai. Agla Prashan, Aur yeh Pleat kya  hai? Pleat kapade mein ek prakaar ka fold, ek prakaar ki lapaet hoti hai jo kayi different shapes, alag-alag roop dhaaran kar sakti hai. Ek basic pleat, ek buniyaadee pleet bananey ke liye kapade ko ussi me vaapas moda jaata hai, jiss key parinaam swaroop ek accordion ki shape utpann hoti hai, ek baajey jaisa aakaar utpan hota hai. Haalaanki, pleats kayi shapes aur sizes, kayi aakaaron aur maapon mein aati hain. Kuchh Pleats evenly folded hoti hain, samaan roop se mudi hui hoti hain, jabaki kuch pleats ka shape aur size, aakar aur maap, uneven hota hai, aniyamit hota hai.

Saral bhasha mein kahein toh pleating ek dynamic folding technique hai, ek gatisheel tah takaneek hai jiska upyog Fashion Designers ancient Egypt key samay se, pracheen Misr key samay se kartey aa rahe hain. Pleats ka purpose, Pleats ka uddashay functional ya kahein kaaryatmak, decorative artharth sajawati ya dono ho sakta hai. Garments (Vastron) mein Pleated fabric body curves key saath, fit ho jaata hai, ya kahein shareer key vakron key saath anukool ho jaata hai aur jahaan aavashyak ho vahaan shape (aakaar), dimension (aayam) aur Volume (maatra ya kahein aaytan) pradaan karta hai. Pleated fabrics sey baney garments aapko freedom of movement provide kartey hain, saralta sey hilney dulney ki swatantrata pradaan kartey hain.

Yeh ek aisa seductive, manmohak fabric hai joh aapki body ki movement key saath saath move karta hai. Aesthetics (artarth soundarya) ko badaney key saath saath yeh fabric garments (vastron) mein airflow bhi possible kartey hain, vaayu ka pravaah sambhav kartey hain. Iska arth yeh hai ki Summers mein, garmiyon mein aap pleated fabrics sey baney garments mein bahut comfortable, bahut sukhad mehsoos karengey, chipchipa bilkul bhi mehsoos nahi karengey. Apney anek gunon key kaaran, Pleated fabrics sey baney garments, baney vastra Patley dubley logon key shareer ko, underweight logon ki body ko shape, volume aur fullness provide kartey hain artarth aakar, maatra aur paripoornata pradaan kartey hain.

Home decor items (greh sajawat ki vastuein) jaise ki cushion covers aur curtains artharth pardey bananey me bhi pleated fabrics ka badi maatra mey upyog hota hai. Fabric par pleating kayi prakaar se ki jaa sakti hai. Sabse purani takneek Hand Pleating ki hai. Aap fabric par pleats ko sew kar sakte hain, sil sakte hain. Doosra tareeka hai Machine Pleating ka. Special machinery, vishesh upkarnon ki sahayate se heat aur pressurized steam, garmee aur dabaavyukt bhaap, ka prayoog kartey hue fabric par pleats ka nirmaan kiya jaata hai. Aaj key samay mein Machine Pleating pleated fabric nirmit karney ka sabse pasandeeda tareeka hai.

Iss tareekey sey banni pleats bahut durable artarth tikau hoti hain. Iskey atirikt, Ek aur tareeka hai pleating ka, woh hai Chemical Pleating ki vidhi. Iss vidhi mein Kuchh chemicals ka, kuchh rasayanon ka upyog karkey pleated fabric nirmit kiya jaata hai. Mitron, latest machinery, adhunik aur naveentam upkarnon key phalswaroop bazaar me Pleated fabrics key alag alag prakaar key designs uplabdh hain.

Pre-pleated fabrics banaaney ke liye polyester pasandeeda fabric hai. Polyester fabric par pleats lagbhag fabric key poorey life span, poorey jeevan kaal key liye gatith reheti hain. Aamtaur par, pleating thin fabrics par, patley kapdon par ki jaati hai. Polyester fabric, khaastaur pey polyester chiffon aur polyester georgette, key soft, smooth aur lightweight characteristics artharth naram, chikna aur halkey phulkey hone ki visheshtain, iss fabric ko dressmaking key liye ek lokpriye vikalp banaatey hain.

Pleating karney key liye Silk georgette, silk taffeta, silk organza, aur cotton voile fabrics ka bhi upyog badi maatra mein kiya jaata hai. Skirts, evening gowns, kids dresses, pillows key nirmaan key atirikt pleated fabrics ka upyog aap garment key selected areas artarth chayanit kshetr jaise yoke aur sleeve cuffs bananey key liye bhi kar sakte hain. Dhyaan dijiye ki Pleated fabric ko iron, istree pleat ki direction, pleat ki disha me hi karna hai.

Mitron, iss video ko dekhne ke liye main aap sabhi ka abhaar prakat karta hoon. Main aasha karte hoon ki hamare fabrics se banaye huye products, banaye gaye utpaad aapke jeevan me sakaraatmak urja, positive energy ko badaayenge. Pleated fabrics ki collection dekhne ke liye, niche description me diye gaye links par click kare. Kissi bhi prakar ki fabrics ki jaankaari key liye aap humme +91-9971106200 par call kar sakte hain ya charu@charu.org.in par email bhej sakte hai. Mitron, aap agla video kiss vishay, kiss topic par dekhna chahengey, hummey comments me likhkar avashey batayein. Dhanyawaad, aapka din shubh ho.

0
    0
    Your Cart
    Your cart is emptyReturn to Shop