Iss fabric se baney Garments mein Wrinkles nahi padte, Garments ko iron, press ya istri karne ki avashyakta nahi padti. Namaskar Mitron, main hon aapka Mitr, Tushar, Charu Creation Pvt Ltd se jo ki ek Fashion Fabric company hai Nehru Place, New Delhi me. Mitron, aaj key video mein main baat karunga Spandex fabric ki jisse Elastane aur Lycra key naam se bhi jaana jaata hai.
Toh kya hai yeh Spandex fabric? Spandex asal mein ek polyurethane based synthetic fiber hai, ek polyurethane par adharit krtrim resha hai, jisme gazab Ki elasticity hoti hai, adbhut lachilapan hota hai. Lachilepan key saath spandex bahut hi mazboot, atti drirr bhi hota hai.
USA mein spandex key naam se prachalit yeh resha europe mein elastane key naam se jaana jaata hai. Wahin Lycra, The DuPont company ka registered, panjeekrt brand name hai Spandex ke liye. Saamaanay roop se, spandex fiber ko doosre fibers, doosre reshe jaise cotton, nylon, wool itiyadi ke saath bunnkar fabric ki shape mein, kapde key roop mein nirmit kiya jaata hai.
Cotton aur Lycra key mishran se nirmit Cotton Lycra fabric mein wrinkles nahi padte, sikuran nahi aati aur molding characteristic hone key kaaran yeh fabric body-fit bhi hota hai, shareer se chipak jaata hai. Aur issi kaaran cotton lycra se banni Mens’ Shirts aur Womens’ Tops wrinkles na padne key liye aur body-fit hone key liye atti lokpriye hai, bahut famous hai. Cotton lycra fabric stretchable, lachiley hone key saath saath breathable, hawadaar bhi hota hai. Iss fabric ki yeh khoobiyan isse garbhwati mahilaon key kapdon key liye (vishesh roop apni iss visheshta key kaaran bahut lambey samay tak cotton lycra fabric naaya prateet hota hai.
Knitted Cotton Lycra ka prayoog Yogawear jaise ki yoga pants bannaney mein badey istar par kiya jaata hai. Cotton lycra fabric key sambandh mein kuch baaton ka dhyaan rakhna avashyak hai. Cotton lycra fabric ko hot wash na karein. Garm paani iss fabric ko shati, nuksaan pahuncha sakta hai.
Chlorine bleach ka iss fabric par prayog varjit hai. Avoid karein chlorine bleach ko. Garm Garm Iron, Garm Garm istri sidhe tor se, directly cotton lycra fabric par na rakhein. Lycra ka dhaaga aapna aakar, apni shape chod sakta hai. Doston, Lycra ke doosre fabrics Nylon Lycra aur Polyester Lycra ka pramukh roop se prayog swimwear, sportswear, dancewear ka nirman karney mein hota hai. Aaj ka fun fact, rochak tathya, aap jaan ke achambhit honge ki lycra fiber ka, lycra reshe ka proyog nail paints me bhi hota hai.
Mitron, iss video ko dekhne ke liye main aap sabhi ka bahut bahut abhinandan. Main aasha karte hoon ki hamare fabrics se banaye huye products aapke jeevan me sakaraatmak urja, positive energy ko badaayenge. Cotton Lycra fabrics ki collection dekhne ke liye, niche description me diye gaye link pe click kare. Kissi bhi prakar ki fabrics ki jaankaari key liye aap humme +91-9971106200 par call kar sakte hain ya charu@charu.org.in par email bhej sakte hai. Aisey hi information bharey videos ko dekhne ke liye iss channel ko avashya subscribe karein. Dhanyawaad. Aapka din shubh ho.