X

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

Main apni agli dress key liye Georgette fabric loon yah Chiffon fabric? Yeh issue, yeh prashan har lady, har stree ki life mein kabhi na kabhi uthta hai. Namaskar Mitron, main hoon aapka Mitr, Tushar, Charu Creation Pvt Ltd se jo ki ek Fashion Fabric company hai Nehru Place, New Delhi me.

Mitron, Iss video mein hum charcha karengey ki Georgette aur Chiffon fabrics mein kya kya antar hain, kya kya differences hain aur kaunsey fabric ka upyog kab kiya jaye? Toh sabse pehle sanshep me samajhtey hain ki Georgette aur Chiffon fabrics hain kya. Dono hi fabrics weaving effects hain, bunnai key vishesh prabhaav hain. Dono hi fabrics kissi particular fiber ya kissi vishesh reshey ka naam nahi hain. Dono hi fabrics ki construction technique, nirmaan prakriya ek hi hai.

Angrezi key akshar S kay aakar mein ek dhaage ko, ek soot ho counter clockwise disha mein moda jaata hai aur doosre dhaage ko, doosre soot ko angrezi kay akshar Z kay aakar mein clockwise disha mein mod jaata hai. Aur phir inn 2 viprit dishaon mein mudey hue dhaagon ko plain weave mein ek saath buneney se, weave karne se nirman hota hai Chiffon aur Georgette  fabrics ka. Dono hi fabrics Silk, Polyester, Viscose, Cotton aur Nylon key fibers, reshon se alag alag bhi nirmit kiye jaatey hain aur in sab fibers key blend sey, inn sab reshon key mishran sey bhi nirmit kiye jaatey hain. Yeh toh ho gayi dono fabrics ki samaantayein.

Ab baat kartey hain in donno fabrics key beech key differences ki, bhedon ki. Toh sabse pehla antar hai thickness aur density ka, motai aur ghanatav ka. Chiffon fabric Georgette ki tulna me patla hota hai. Doosra antar hai weight, vazan ya bhaar ka. Tulnatmak taur pey motey soot sey banney honey key kaaran, Heavier ply yarn sey baney honey key kaaran Georgette fabric Chiffon se adhik bhaari hota hai, heavy hota hai. Ab baat kartey hain touch ki, sparsh ki.

Georgette fabric apney grainy texture, daneydaar sparsh ke liye prasidh hai. Doosri aur Chiffon fabric ka sparsh rough hai, khurdura hai parantu georgette sey zayaada soft hota hai, adhik mulayam hota hai. Agar baat karein drape ki toh dono hi fabrics apni drape key liye prasidh hain magar tulnatmak taur pey Chiffon ka drape Georgette fabric se adhik hai. Ab baat kartey hain appearance ki, dikhavat ki.

Chiffon fabric ka surface shimmering hota hai, ya kahein ki chiffon fabric mein jhilmilaatee satah hoti hai. Wahin, georgette ka surface dull appear hota hai ya kahein georgette ki satah maend prateet hoti hai. Saath hi saath, Georgette fabric mein, crinkle effect dekhney ko milta hai. Mitron, Chiffon fabric ki koyi distinct sheen nahi hoti, koyi vishesh chamak nahi hoti. Apni issi visheshta key kaaran, Chiffon fabric par muted colors, halke rang, pastel colors bahut suit kartey hain. Chiffon fabric Georgette ki tulna me delicate colors ko behetar tarrekay se ubhaarta hai. Doosri aur, Georgette fabric Chiffon fabric ki tulna may dyes ko better hold karta hai, colors ya rangoon ko behetar tareekay sey absorb ya sokhta hai. Aamtaur par yeh dekha gaya hai ki shades jaise ki dark blue, dark green, deep red, itiyaadi Georgette fabric par adhik suit kartey hain.

Dhyaan dijiye, jab kissi bhi color me black color, kaala rang mix kiya jaata hai toh ussey uss particular color ka, uss vishesh rang ka shade kehetay hain. Agla antar hai translucence ka, paardarshita ka. Waise toh dono hi fabric paardarshi hain, kintu tulnaatmak taur pey Chiffon fabric Georgette sey zyaada sheer hai, adhik paardarshi hai. Mitron, Chiffon fabric Georgette sey zayaada delicate bhi hai, adhik komal bhi hai. Chiffon fabric Georgette ki tulna mein aapni shape, aapna aakar aur aapney baaki saarey characteristics, apni baaki saari visheshtayein samay key saath saath jaldi kho bhaitha hai.

Georgette zayaada tikau hai, zayaada durable hai. Toh Mitron, ab baat kartein hain ki kaunsey fabric ka kiss prakaar upyog kiya jaye. Lightweight, halkaphulka aur flowing honey key kaaran Chiffon fabric body se cling nahi karta, shareer sey chipakta nahi hai aur issi kaaran Chiffon ka upyog flowing artharth leheriya aur drapy dresses jaise ki evening gowns mein adhik hota hai.

Doosri aur Georgette fabric relatively body ko better gripkarta hai, shareer ko behetar tareekay se pakadta hai aur issi kaaran Georgette fabric se banaye gaye blouses bahut attarctive, bahut aakarshak lagtey hain. Kyunki Chiffon fabric kaafi sheer, bahut paardarshi hota hai issiliye dresses mein Chiffon fabric ko multiple layers mein drape kiya jaata hai, anek paraton mein drape kiya jaata hai. Yeh multiple layers bahut attractive, bahut akarshak prateet hoti hain. Chiffon fabric mein Paardarshita ko control kareney key liye, niyantrit karney key liye lining fabrics ka bhi badi maatra mein upyog kiya jaata hai. Diaphanous look waali dresses artharth ubar khaabar dikhavat waali dresses ke liye Chiffon fabric ek appropriate option hai, 

Upyukt Vikalp hai. Wahin doosri aur, Georgette fabric key fall mein ripple effects aatey hain aur issi kaaran bias-cut flared skirts bananey key liye Georgette ek behetareen fabric hai. Mitron, yeh baat jag jahir hai ki Georgette aur Chiffon ki Sarees apne aap me fashion cult hain. Par iss me ek catch hai, ek painch hai. Chiffon ki saree par halkey, pastel aur light colors adhik khoobsurat prateet hotey hain aur Georgette ki saree par bright aur dark colors zayaada ubhar kar aatey hain. 

Mitron, yeh kehena galat nahi hoga ki dono fabrics me se Chiffon apney Characteristics, apni gunvataon key kaaran occasion dresses ke liye zayaada suitable hai, adhik upyukt hai. Mitron, agar aap alag sey Georgette aur Chiffon par aur detailed information, aur vistrit jaankari chahatey hain toh description me diye gaye video links par click kar sakte hain. Mitron, iss video ko dekhne ke liye main aap sabhi ka bahut bahut abhaari hoon. Main aasha karte hoon ki hamare fabrics se banaye huye products aapke jeevan me sakaraatmak urja, positive energy ko badaayenge.

Chiffon aur Georgette fabrics ki collection dekhne ke liye, niche description me diye gaye link pe click kare. Kissi bhi prakar ki fabrics ki jaankaari key liye aap humme +91-9971106200 par call kar sakte hain ya charu@charu.org.in par email bhej sakte hai. Doston, aap agla video kiss vishay par dekhna chahengey, comment box me avashya likhe. Dhanyawaad, Aapka din shubh ho.

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

Tushar, show me printed fabrics in bulk having price around Rs. 100/meter. The buyer wants cheaper options. He is just not ready to shell out money”. This is what I have been hearing day in and day out from Garment Exporters, Merchandisers, Designers and Fabric Managers for the last couple of months. Hello, this is Tushar from Charu Creation Pvt Ltd, a fashion fabric company at Nehru Place, New Delhi. In order to provide economical fabric in this post-Covid era, we present a collection of around 200 Printed Cotton Fabrics in Bulk. These printed fabrics having a width of around 42 inches are priced at just Rs. 98/meter. Friends, I want to acknowledge you for watching this video. I hope that samples made out of our printed fabrics would help you to win orders from your respective buyers and strengthen your business in these challenging times.

https://www.youtube.com/watch?v=eou9qnBsIT8&t=3s

scroll down for video

Arrey achi quality ka export fabric toh mehnga hota hai aur iss time jab jeb mein paisa nahin hai tab export quality ka fabric kaise khareed sakte hain”. Agar aap aisa soch rahein hain toh bilkul galat soch rahe hain. Hello  Namaskar main hoon aapka Mitr Tushar, Charu Creation Pvt ltd, jo ki ek fashion fabric company hai, Nehru Place, New Delhi mein. Aap hamari website par Rs. 49/ meter onwards ka export quality ka fabric khareed sakte hain.

Hum poore India mein kahin bhi fabric deliver kar sakte hain. Stock limited hai. Is mauke ka poora fayda uthayein. Is Kathin samay ko samajhte hue, economy ki situation ko samajhte hue, humne yeh offer launch kara hain taaki aap apni creative garments ko banane ki icha ko, wish ko poora kar sakein. Main aasha karta hoon ki hamare kaapde, hamare fabrics aapke jeewan main sakaratmak prabhav laayenge, ik postive impact laayenge.


https://www.youtube.com/watch?v=8iM_EyFQtBM

0
    0
    Your Cart
    Your cart is emptyReturn to Shop