X

scroll down for video

scroll down for video

Kya aap Satin aur Sateen fabric ko lekar confused hain, aspasht hain? Agar haan, toh yeh video anth tak avashya dekhein. Namaskar Mitron, main hoon aapka Mitr, Tushar, Charu Creation Pvt Ltd se jo ki ek Fashion Fabric company hai Nehru Place, New Delhi me. Mitron, iss video me hum samajheingey Satin aur Sateen key beech key bhedon ko, differences ko.

Mitron, sabse pehley sanshep me samajhtey hain Satin ko. Satin kissi particular fiber, kissi vishesh reshey ka naam nahi apitu Satin asal mein teen fundamental weaves me se ek weave, teen mukhya bunnai me se ek bunaai ka naam hai. Baaki ki do mukhya weaves hain Plain weave aur Twill weave. Satin Weave Warp faced Satin weave ya Weft faced Satin weave ho sakti hai. Warp faced Satin weave me several warp yarns artharth kayi tanney key soot ek weft yarn artharth ek banney key soot key upar sey bunney jaatey hain. Wahin Weft faced Satin weave me iska totally opposite, bilkul viprit hota hai.

Iska matlab several weft yarns artharth kayi banney key soot ek warp yarn artharth ek tanney key soot key upar sey bunney jaatey hain. Kissi bhi prakaar key fiber, Kissi bhi prakaar key reshey jaise cotton, viscose, polyester, silk, linen, nylon itiyaadi ko satin weave key maadhyam sey ek fabric me, ek kapde me bunna ja sakta hai, weave kiya ja sakta hai. Roz marra ki bhasha mein, satin weave me bunney gaye fabric ko Satin fabric key naam sey pukaara jaata hai. Bazaar me aapko Silk Satin, Viscose Satin, Polyester Satin, Cotton Satin itiyaadi fabrics saralta sey uplabdh ho jayengey. Chahey koyi bhi resha ho, satin fabric long aur continuous fibers, lambey aur aviral reshon se satin weave mey bunna jaata hai.

Inn long aur continuous fibers ko, lambey aur aviral reshon ko Filaments kaha jaata hai. Mitron, ab baat karte hain Sateen ki. Sateen kissi weave ka naam nahi hai. Sateen ek particular, ek vishesh fabric hai joh Weft faced Satin Weave me bunna jaata hai. Aur yeh hai sabse pehla difference, sabse pehla bhed, Weave structure ka, bunnai sanrachna ka. Satin fabric Warp faced ya Weft faced Satin weave me bunna jaata hai jabki Sateen fabric Weft faced Satin weave me hi bunna jaata hai.

Mitron, aagla difference, aagla bhed hai fiber length ka, reshon ki lambaayi ka. Jahan Satin fabric Filaments artharth long aur continuous fibers, lambey aur aviral reshon sey satin weave mey bunna jaata hai wahin sateen fabric short staple yarns sey weave kiya jaat hai, chhoti lambaayi waaley reshon sey bunna jaata hai. Aur yeh sabse bada difference hai, sabse bada bhed hai. Kissi bhi prakaar key short staple fiber, Kissi bhi prakaar key chhoti lambaayi waaley reshey jaise cotton, viscose, linen ko weft faced satin weave key Maadhyam sey sateen fabric me bunna ja sakta hai, weave kiya ja sakta hai. Bazaar me aapko Cotton Sateen, Viscose Sateen, Linen Sateen fabrics saralta sey uplabdh ho jayengey. 

Aisa issiliye kyonki adhikansh taur pey short staple fibers, chhoti lambaayi waaley reshey Cotton, Viscose aur Linen me hi uplabdh hotey hain. Mitron dhyaan deney waali baat yeh hai ki, agar short staple cotton yarn, chhoti lambaayi waaley cotton reshey ko weft faced satin weave mey bunna jaye toh ussey Cotton Sateen Fabric kahengey aur agar long aur continuous cotton fibers, lambey aur aviral cotton reshon ko Warp ya Weft faced Satin weave mey bunna jaye toh ussey Cotton Satin Fabric kahengey. 

Mitron, agla difference, agla bhed texture  ka hai, bunavat ka hai. Satin fabric Sateen fabric se adhik glossy, slippery aur lustrous artharth adhik chamakdaar aur fislau hai. Sateen fabric satin fabric ki tulna me dull appearance ka hota hai, mand dikhavat ka hota hai. Mitron, agar aap alag sey Satin Fabric par aur detailed information, aur vistrit jaankari chahatey hain toh description me diye gaye video link par click kar sakte hain. Doston, iss video ko dekhney ke liye main aap sabhi ka bahut bahut abhaari hoon. Main aasha karte hoon ki hamare fabrics se banaye huye products aapke jeevan me sakaraatmak urja, positive energy ko badaayenge.

Satin aur Sateen fabrics ki collection dekhne ke liye, niche description me diye gaye links pe click kare. Kissi bhi prakar ki fabrics ki jaankaari key liye aap humme +91-9971106200 par call kar sakte hain ya charu@charu.org.in par email bhej sakte hai. Doston, aap agla video kiss vishay par dekhna chahengey, comment box me avashya likhe. Dhanyawaad, Aapka din shubh ho.

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

Scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

0
    0
    Your Cart
    Your cart is emptyReturn to Shop