X

Bhaiya, kurti ke liye kitna meter kapda lagega? Agar fabric ki width 42 inches hai toh plazzo kitne meter fabric mein banega?

Kya 2.5 meter mein crop top ban jayega? Yeh saare questions sune sunaye hain. Yeh hain aapke questions.

Hello, Namaskar main hoon aapka Mitr Tushar, Charu Creation Pvt ltd, jo ki ek fashion fabric company hai, Nehru Place, New Delhi mein. Log aajkal apne kapde, apne garments apni soch ke according banana chahte hain, experiment karna chahte hain, conventional se thoda hat ke karna chahte hain, apne kapdo ko, apne clothes ko apne hisab se customize karana chahte hain par unko 1 challenge aata hai. Unhe pata nahi chal paata ki who jo garment banana chahte hain usme fabric, usme kapda kitna lag ga. Aur issi karan log apne customized clothing ke plan ko drop kar dete hain.

So, we at charu have come up with a solution for this problem. Iss problem ko solve karne ke liye humne ek detailed document prepare kara hai jo aapko baateyega ki aaj ke prevelant, running women aur men garments mein broadly kitna kapda lagta hai. Yeh document aapko yeh bhi baateyega ki agar Kapde ki width 42 inches hai toh kapda kitna lagega aur agar kapde ki width 54 inches hai toh kapda kitna lagega. Yeh hi nahi, yeh document apko home furnishing items jaise curtains, pillow covers, table runners, etc ke baare main bhi information dega. Yeh document aapki help karega aapki customized clothing ki wish ko poora karne mein, aapki thinking, appki soch ki chaap aapke kapdo tak laane mein.

Main aap sab ka bahut aabhari hoon ki apne apna samay nikal kar yeh video dekha. Main aasha karta hoon ki hamare kaapde, hamare fabrics aapke jeewan main sakaratmak prabhav laayenge, ik postive impact laayenge.


Sizing Chart

https://youtu.be/DWpVsEN4Svo

0
    0
    Your Cart
    Your cart is emptyReturn to Shop