X

scroll down for video

Main apni agli dress key liye Georgette fabric loon yah Chiffon fabric? Yeh issue, yeh prashan har lady, har stree ki life mein kabhi na kabhi uthta hai. Namaskar Mitron, main hoon aapka Mitr, Tushar, Charu Creation Pvt Ltd se jo ki ek Fashion Fabric company hai Nehru Place, New Delhi me.

Mitron, Iss video mein hum charcha karengey ki Georgette aur Chiffon fabrics mein kya kya antar hain, kya kya differences hain aur kaunsey fabric ka upyog kab kiya jaye? Toh sabse pehle sanshep me samajhtey hain ki Georgette aur Chiffon fabrics hain kya. Dono hi fabrics weaving effects hain, bunnai key vishesh prabhaav hain. Dono hi fabrics kissi particular fiber ya kissi vishesh reshey ka naam nahi hain. Dono hi fabrics ki construction technique, nirmaan prakriya ek hi hai.

Angrezi key akshar S kay aakar mein ek dhaage ko, ek soot ho counter clockwise disha mein moda jaata hai aur doosre dhaage ko, doosre soot ko angrezi kay akshar Z kay aakar mein clockwise disha mein mod jaata hai. Aur phir inn 2 viprit dishaon mein mudey hue dhaagon ko plain weave mein ek saath buneney se, weave karne se nirman hota hai Chiffon aur Georgette  fabrics ka. Dono hi fabrics Silk, Polyester, Viscose, Cotton aur Nylon key fibers, reshon se alag alag bhi nirmit kiye jaatey hain aur in sab fibers key blend sey, inn sab reshon key mishran sey bhi nirmit kiye jaatey hain. Yeh toh ho gayi dono fabrics ki samaantayein.

Ab baat kartey hain in donno fabrics key beech key differences ki, bhedon ki. Toh sabse pehla antar hai thickness aur density ka, motai aur ghanatav ka. Chiffon fabric Georgette ki tulna me patla hota hai. Doosra antar hai weight, vazan ya bhaar ka. Tulnatmak taur pey motey soot sey banney honey key kaaran, Heavier ply yarn sey baney honey key kaaran Georgette fabric Chiffon se adhik bhaari hota hai, heavy hota hai. Ab baat kartey hain touch ki, sparsh ki.

Georgette fabric apney grainy texture, daneydaar sparsh ke liye prasidh hai. Doosri aur Chiffon fabric ka sparsh rough hai, khurdura hai parantu georgette sey zayaada soft hota hai, adhik mulayam hota hai. Agar baat karein drape ki toh dono hi fabrics apni drape key liye prasidh hain magar tulnatmak taur pey Chiffon ka drape Georgette fabric se adhik hai. Ab baat kartey hain appearance ki, dikhavat ki.

Chiffon fabric ka surface shimmering hota hai, ya kahein ki chiffon fabric mein jhilmilaatee satah hoti hai. Wahin, georgette ka surface dull appear hota hai ya kahein georgette ki satah maend prateet hoti hai. Saath hi saath, Georgette fabric mein, crinkle effect dekhney ko milta hai. Mitron, Chiffon fabric ki koyi distinct sheen nahi hoti, koyi vishesh chamak nahi hoti. Apni issi visheshta key kaaran, Chiffon fabric par muted colors, halke rang, pastel colors bahut suit kartey hain. Chiffon fabric Georgette ki tulna me delicate colors ko behetar tarrekay se ubhaarta hai. Doosri aur, Georgette fabric Chiffon fabric ki tulna may dyes ko better hold karta hai, colors ya rangoon ko behetar tareekay sey absorb ya sokhta hai. Aamtaur par yeh dekha gaya hai ki shades jaise ki dark blue, dark green, deep red, itiyaadi Georgette fabric par adhik suit kartey hain.

Dhyaan dijiye, jab kissi bhi color me black color, kaala rang mix kiya jaata hai toh ussey uss particular color ka, uss vishesh rang ka shade kehetay hain. Agla antar hai translucence ka, paardarshita ka. Waise toh dono hi fabric paardarshi hain, kintu tulnaatmak taur pey Chiffon fabric Georgette sey zyaada sheer hai, adhik paardarshi hai. Mitron, Chiffon fabric Georgette sey zayaada delicate bhi hai, adhik komal bhi hai. Chiffon fabric Georgette ki tulna mein aapni shape, aapna aakar aur aapney baaki saarey characteristics, apni baaki saari visheshtayein samay key saath saath jaldi kho bhaitha hai.

Georgette zayaada tikau hai, zayaada durable hai. Toh Mitron, ab baat kartein hain ki kaunsey fabric ka kiss prakaar upyog kiya jaye. Lightweight, halkaphulka aur flowing honey key kaaran Chiffon fabric body se cling nahi karta, shareer sey chipakta nahi hai aur issi kaaran Chiffon ka upyog flowing artharth leheriya aur drapy dresses jaise ki evening gowns mein adhik hota hai.

Doosri aur Georgette fabric relatively body ko better gripkarta hai, shareer ko behetar tareekay se pakadta hai aur issi kaaran Georgette fabric se banaye gaye blouses bahut attarctive, bahut aakarshak lagtey hain. Kyunki Chiffon fabric kaafi sheer, bahut paardarshi hota hai issiliye dresses mein Chiffon fabric ko multiple layers mein drape kiya jaata hai, anek paraton mein drape kiya jaata hai. Yeh multiple layers bahut attractive, bahut akarshak prateet hoti hain. Chiffon fabric mein Paardarshita ko control kareney key liye, niyantrit karney key liye lining fabrics ka bhi badi maatra mein upyog kiya jaata hai. Diaphanous look waali dresses artharth ubar khaabar dikhavat waali dresses ke liye Chiffon fabric ek appropriate option hai, 

Upyukt Vikalp hai. Wahin doosri aur, Georgette fabric key fall mein ripple effects aatey hain aur issi kaaran bias-cut flared skirts bananey key liye Georgette ek behetareen fabric hai. Mitron, yeh baat jag jahir hai ki Georgette aur Chiffon ki Sarees apne aap me fashion cult hain. Par iss me ek catch hai, ek painch hai. Chiffon ki saree par halkey, pastel aur light colors adhik khoobsurat prateet hotey hain aur Georgette ki saree par bright aur dark colors zayaada ubhar kar aatey hain. 

Mitron, yeh kehena galat nahi hoga ki dono fabrics me se Chiffon apney Characteristics, apni gunvataon key kaaran occasion dresses ke liye zayaada suitable hai, adhik upyukt hai. Mitron, agar aap alag sey Georgette aur Chiffon par aur detailed information, aur vistrit jaankari chahatey hain toh description me diye gaye video links par click kar sakte hain. Mitron, iss video ko dekhne ke liye main aap sabhi ka bahut bahut abhaari hoon. Main aasha karte hoon ki hamare fabrics se banaye huye products aapke jeevan me sakaraatmak urja, positive energy ko badaayenge.

Chiffon aur Georgette fabrics ki collection dekhne ke liye, niche description me diye gaye link pe click kare. Kissi bhi prakar ki fabrics ki jaankaari key liye aap humme +91-9971106200 par call kar sakte hain ya charu@charu.org.in par email bhej sakte hai. Doston, aap agla video kiss vishay par dekhna chahengey, comment box me avashya likhe. Dhanyawaad, Aapka din shubh ho.

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

Scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

Ah Excuse-me, mujhe curtains bananey hain, main Velvet fabric use karon ya Velveteen fabric? Waise Velour fabric key baarey me bhi mainey thoda bahut  suna hai! Actually main thodi confused hoon! Kya aap meri help kar sakte hain?

Mitron, yeh batein, yeh prashan humse pratidin puchey jaatey hain. Toh iss video me, main Velvet, Velveteen aur Velour Fabrics me kya kya aantar hai, unko spasht karunga aur aapko yeh bhi bataunga ki kab kaunsey fabric ka upyog kiya jaaye! Namaskar Mitron, main hoon aapka Mitr, Tushar, Charu Creation Pvt Ltd se jo ki ek Fashion Fabric company hai Nehru Place, New Delhi me. Mitron, Velvet ek woven fabric hai joh Silk, Cotton, Viscose, Linen, Wool, Polyester key alag alag reshon sey bhi banta hai aur inn sab fibers key blends, inn sab reshon key mishran sey bhi banta hai.

Mitron, teeno fabrics me Velvet ki pile artharth iski dher sabse oonchi hai aur saath hi saath sabse dense artharth sabse saghan bhi hai. Velvet teeno fabrics me se sabse smooth artharth sabse chikna hai, aur sabse soft yaani sabse mulayam bhi hai. Velour aur Velveteen fabrics ki tulna me Velvet fabric sabse shaandaar, chamakdaar aur mehenga Fabric hai! Yeh drape bahut aachey taakekey sey hota hai.

Velvet ek bahut hi versatile fabric, bahumukhee kapda hai jiska upyog menswear aur womenswear, purush aur istree donon key kapdey, outerwear aur innerwear, upar sey pehney jaaney waaley kapdey aur bheetri vastra, home decor, greh sajawat ki vastuein itiyaadi key nirmaan mein hota hai. Doston, Woven fabric honey key kaaran, Velvet fabric me stretch artharth Kheechaav nahi hota. Velvet ko samaanayatah dry clean kiya jaata hai, wash nahi kiya jaata artharth dhoya nahi jaata. Mitron, Velvet fabric key vishay mein adhik aur vistrit jankari prapt karney key liye aap humare dwara velvet pey banaye gaye video ko dekh saktey hain. Video ka link, neechey description me diya hua hai. Mitron, ab baat kartey hain Velveteen fabric ki. Velvet key samaan hi Velveteen fabric ka nirmaan bhi double cloth loom par hota hai. Jahaan Velvet mey pile artharth dher bananey key liye warp yarn ko kaata jaata Hai artharth taaney ko kaata jaata hai wahin Velveteen fabric me weft yarn ko artharth baaney ko kaata jaata hai. Teeno fabrics me, Velveteen fabric ki pile length, dher ki unchai sab se kam hai.

Samaanayatah, Velveteen fabric ki pile length, dher ki unchai adhiktam 3 millimeter tak hoti hai. Teeno fabrics me, Velveteen fabric sabse stiff artharth sabse kada hai. Aam taur par Velveteen ka nirmaan Cotton, Rayon, Polyester, Silk ya in sabb reshon key mishran se hota hai. Matte finish waaley iss fabric ko faux Velvet arthath nakli Velvet key naam sey bhi pukaara jaata hai aur iska touch, iska sparsh cordruoy fabric key samaan prateet hota hai. Woven fabric honey key kaaran, Velvet key samaan hi velveteen me stretch artharth Kheechaav nahi hota. Mota, tikau aur mazboot fabric honey ke kaaran Velveteen fabric ka upyog badi maatra mein garam trousers, dresses, skirts, coats, waistcoats, ityaadi key nirmaan mey hota hai. Casual wear ki liye yeh ek achha vikalp hai.

 Velvet aur Velour ki tulna me yeh kam chamakdaar hai aur saath hi saath iski drape bhi kam Hai. Toh dhyaan dijiye, yadi aap koyi aissi dress yah koyi aissi vastu banana chahatey hain jissme acche drape ki avashyakta hai toh Velveteen key sthaan par Velvet ya Velour Fabric ka prayoog kijiye. Silk fiber, silk key reshey sey banney velveteen fabric ko chod kar, anaye reshon sey baaney velveteen fabric ko hand wash yah machine wash bhi kiya ja sakta hai.

Mitron, ab baat karte hain Velour fabric ki. Velour Cotton, polyester, viscose, Silk ya in sabb reshon key mishran se bana ek knitted fabric hai jo Velvet jaisa dikhata hai. Knitted fabric honey key kaaran Velour fabric Velvet aur Velveteen ki tulna me adhik lacheela hai. Isme stretch sabse zyaada hai. Issi karaanvash, Velour fabric ka upyoog dance aur sports clothes, nritay aur khel ke kapadon, jaise leotards aur tracksuits, key nirmaan me sabse adhik hota hai.

Velour fabric Velveteen se adhik shiny aur Velvet se kamm chamakdaar hai, kamm shiny hai. Velveteen aur Velvet ki pile length ki tulna me Is fabric ki pile length, dher ki unchai madhyantar me hai, artharth Velveteen se adhik aur Velvet se kamm. Velour Ka upyog dono formal wear aur casual wear bananey ke liye kiya jaata hai.

Iski drape Velvet key samaan hai aur issi kaaran Velour fabric ka upyog curtains aur draperies artharth pardey bananey me badi maatra me hota hai. Aap Velour fabric ka ek special characteristic, ek vishesh gunvatta jaan key achambhit hongey. Kayi prakaar key Velour Fabrics Inherently Fire Retardant hote hain artharth svaabhaavik roop se aagni pratirodhee hai. Yeh visheshta Velvet me nahin hai. Issi kaaranvash Event industry coordinators agni se bachaav ke liye aam taur par pardey, sofa covers ityaadi Velour fabric key banatey hain. Velour fabric ka upyog Velvet key samaan hi Jewellery Protectors artharth aabhooshan rakshak key nirman me bhi hota hai. Agar Aap apane gahanon ko kharaab hone se bachaana chaahate hain toh Velvet aur Velour donon hee aapke keemtee gehnon kee suraksha ke liye behatareen vikalp hain. 

Yeh dono fabrics bahut narm hote hain aur inse baney Jewellery Protectors mein gehenon ko Scratches artharth kharonchein nahi aati. Velveteen key samaan hi Silk reshey se banni Velour ko chod kar, anaye reshon sey nirmit Velour ko hand wash ya machine wash kiya ja sakta hai. Mitron, iss video ko dekhne ke liye main aap sabhi ka abhaar prakat karta hoon. Main aasha karte hoon ki hamare fabrics se banaye huye products, banaye gaye utpaad aapke jeevan me sakaraatmak urja, positive energy ko badaayenge.

Velvet, Velveteen aur Velour fabrics ki collection dekhne ke liye, niche description me diye gaye links par click kare. Kissi bhi prakar ki fabrics ki jaankaari key liye aap humme +91-9971106200 par call kar sakte hain ya charu@charu.org.in par email bhej sakte hai. Mitron, aap agla video kiss vishay, kiss topic par dekhna chahengey, hummey comments me likhkar avashey batayein. Dhanyawaad, aapka din shubh ho.

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

Kya aap ek Fashion Designer hain joh ladies key luxurious evening wear, romantic evening dresses bananey key liye fabric dhoond rahe hain? Agar haan, toh yeh video anth tak avashaye dekhein. Namaskar Mitron, main hoon aapka Mitr, Tushar, Charu Creation Pvt Ltd se jo ki ek Fashion Fabric company hai Nehru Place, New Delhi me. Mitron, aaj is video me hum baat karengey fabric of Romance ki, yaani Velvet ki. Stunning Womenswear, adbhut mahilaon ke kapdey bananey key liye bahut famous, atti prasidh Velvet fabric womanly curves ko accentuate karta hai, artharth shareer key angon ko ubhar kar pradarshit karta hai. Velvet key wonderful characteristics, Velvet ki kamaal ki visheshtain jaise attractive softness, mann ko moh lene waali komalta, amazing smoothness, gazab ka chikna sparsh evam shiny look, chamakdaar satah ek saadharan manushya key lag bhag sabhi senses ko attract karti hain, lag bhag sabhi indriyon ko aakarshit karti hain. Aur issi kaaran Velvet ko Fabric of Romance kaha jaata hai.

Gazab ki drape waala Velvet fabric, Poori duniya mein sabse soft artharth sabse narm aur sabse smooth artharth sabse chikney fabrics me se ek hai. Apney issi luxurious characteristics, aaleeshaan visheshataon ki vajah sey Velvet fabric Bahut lambey samay se Royalty (Rajasi Gaurav) aur Aristocracy artharth kuleen tantra ka prateek raha hai. Kissi fiber, kissi reshey key bajaay, Velvet shabd uss process ko refer karta hai, uss prakriya ko suchit karta hai jiss prakriya sey yeh fibers ek saath structure karey gaye hain, ek saath sanrachit karey gaye hain.

Mitron, Velvet ka nirmaan ek special loom, ek vishesh karghey, double cloth loom par hota hai. Yeh loom, fabric ki 2 layers ko, kapdey ki do paraton ko ek saath weave karta hai, ek saath bunnta hai. Baad mein, inn 2 layers ko, 2 paraton ko beech me sey baraabari sey kaat diya jaata hai. Aur yeh do Katey hue fabric pieces, do barabari mein katey hue kapde key tukde velvet fabric key 2 running material hotey hain. Mitron, velvet ki upari satah par katey hue dhaagey, katey hue threads evenly distributed hotey hain, samaan roop se vitrit hotey hain.

Yeh katey hue dhaagey ek soft dense pile ko, mulayam saghan dher ko janam detey hain. Issi pile, issi dher key kaaran softness, komalta ka doosra naam velvet hai, artarth makhmal hai. Paaram parik roop se Velvet ka nirman silk fiber, resham key reshey se hota aa raha hai parantu aaj key samay mein bazaar mein Cotton, Viscose, Linen, Wool, Polyester Velvet aur inn sab fibers key blends, inn sab reshon key mishran sey banney Velvet fabrics bhi saralta se uplabdh hain.

Mitron, bhinn bhinn reshon, different fibers sey nirmit Velvet fabrics key atirikt, alag alag designs key Velvet Fabrics bhi baazar may uplabdh hain. Pehla Prakaar hai: Crushed Velvet- Velvet ko ghumakar yah geelay Velvet fabric ko dabakar, pressure dekar fabric may crushed appearance layi jaati hai. Doosra Prakaar hai Burntout Velvet Ka: Iss prakaar key Velvet fabric mein different patterns bananey ke liye, vibhinn aakritiyaan bananey ke liye kuchh bhaag ko pile-free kiya jaata hai, dher mukt kiya jaata hai. Teesra Prakaar hai Embossed Velvet ka: Iss prakaar mein fabric par decorative designs ko, vibhinn prakaar ki sajawati aakritiyon ko emboss yah Heat Stamp artarth taap key saaath mudrankit kiya jaata hai.

Rajasthani band galey key nirmaan mein Embossed Velvet fabric ka badi maatra me prayog hota hai. Iss fabric ka home decor artharth greh sajawat ki vastuein jaise curtains (pardey), cushions aur pillows (takiye), bedsheets aur blankets (chaadrein aur kambal) key nirman mein bharpoor prayoog hota hai. Chautha prakaar hai Stretch Velvet fabric- Iss prakaar key velvet mein, spandex ya kahein lycra key fibers, reshey mishrit kiye jaate hain taaki stretchy quality aur flexibility, khichanv waali gunvatta aur lacheelapan pradaan karein ja sakey. Shareer key curves ko accentuate karney key liye artharth curves ko ubharna key liye, body hug karney key liye, shareer key saath chipkaney key liye Stretch Velvet fabric ideal hai, aadarsh hai. Jumpsuits bananey key liye yeh ek bahut achha option, ek bahut achha vikalp hai.

Panchwa prakaar hai Lyons Velvet ka- is prakaar ka Velvet anay kismon kee tulana mein adhik dense, adhik saghan hota hai aur zayaada stiff( kathor) hota hai. Outerwear artharth upar sey pehneney waaley kapdey aur vastuon jaise ki coats aur hats key nirman key liye Lyons Velvet ko shresth vikalp maana gaya hai. In mukhye prakaaron key atirikt bhi kayi aur prakaar hain udharanta Pile on Pile Velvet, Panne Velvet, Nacre Velvet, Chiffon Velvet itiyadi. Mitron, ab baat karte hain ki aap kaunsey Garments, kaunsey vastra aur kaunsey home decor, greh sajawat ki vastuein kiss fiber, kiss reshey sey nirmit Velvet sey bana sakte hain.

Agar aap evening dresses, wedding gowns aur formal wear banana chahatey hain toh aap Silk Velvet ka prayoog kar saktey hain. Silk velvet jaadui roop se chamakdaar, Narm aur mulayam hota hai. Silk Velvet ka drape bhi bahut shaandaar hai. Silk velvet se banni lingerie, luxury ka symbol hai, luxury ka prateek hai. Yadi silk velvet aapkey budget sey baahar hai toh aap Viscose Velvet yah Polyester Velvet ka bhi prayoog kar saktey hain. Polyester Velvet ki khaas baat hai ki yeh mildew resistant hota hai artharth phaphoondee pratirodhee hota hai.

Sabse sasta honey key parinaam swaroop, Polyester Velvet ka prayog har prakaar key garments, outerwear, lingerie aur home decor items key nirmaan mein sabse adhik hota hai. Yadi aap outerwear jaise jackets, coats, trousers ityaadi banana chahatey hain toh cotton velvet ka prayog kar sakte hain. Doosrey Kismon ke tulna me cotton velvet ka drape kam hai parantu yeh soft, mulayam hone ke saath saath bahut hi sturdy, bahut hi mazboot fabric hai. Yadi aap accessories jaise hats nirmit karna chahate hain toh Wool Velvet ek aacha vikalp hai. Agar aap vintage look waale curtains, Pardey banana chahatey hain toh linen velvet aapki sahayta kar sakta hai. Mitron, ab baat kartey hain Velvet ki Wash and Care- Dekhbhaal key baarey mein.

Velvet ek luxury fabric hai jiski dekhbhaal uchit roop se kee jaani chahiye. Textile Experts, Kapdey key visheshegyon key anusaaar Velvet fabric ko dry clean karna chahiye. Istree karney key isthaan par Velvet fabric ko steam press karein. Jahaan tak storage ka sambandh hai, yaad rakhein ki lambey samay tak mudey reheney key paarinaam swaroop Velvet fabrics mein crease artharth shikan aa sakti hai. Ho sakey toh Velvet se baney garments ko flat yaani sapaat rakhen.

Mitron, iss video ko dekhne ke liye main aap sabhi ka abhaar prakat karta hoon. Main aasha karte hoon ki hamare fabrics se banaye huye products, banaye gaye utpaad aapke jeevan me sakaraatmak urja, positive energy ko badaayenge. Velvet fabrics ki collection dekhne ke liye, niche description me diye gaye link par click kare. Kissi bhi prakar ki fabrics ki jaankaari key liye aap humme +91-9971106200 par call kar sakte hain ya charu@charu.org.in par email bhej sakte hai. Mitron, aap agla video kiss vishay, kiss topic par dekhna chahengey, hummey comments me likhkar avashey batayein. Dhanyawaad, aapka din shubh ho.

0
    0
    Your Cart
    Your cart is emptyReturn to Shop