X

scroll down for video

scroll down for video

Kya aap chahte hain ki aap ki KURTI aapke Figure ko, aapke looks ko aur adhik attractive, aakarshak banaye? Agar haan toh iss video ko anth tak avashye dekhein.

Namaskar Mitron, main hon aapka Mitr, Tushar, Charu Creation Pvt Ltd se jo ki ek Fashion Fabric company hai Nehru Place, New Delhi me. Mitron, agar aapke kapde, aapke Garments aapke body type ko compliment karenge toh aapki appearance kayi guna aadhik attractive ho jayegi.  Mitron, Aesthetics aur Fashion Science ke drishtikon se ek manusya ke tan ko, shareer ko 10 vibhin prakaar ke body types me baata ja sakta hai. Iss 10 prakaroo me bhi 5 mukhye body types hai jinki charcha me iss video me karunga.

1. Pehla body type hai Round yah Oval shaped body type: Agar bust, maaney chhati tulnatmak taur se, relatively shareer key baaki hisse se badi hai, heavy hai, agar pait golakar ka hai aur hips tulnatmak taur se narrow hai, sankuchit hai, to yeh body type round yah oval shaped body type kehlata hai. Round body type waali ladies ko gehre rang, darker shades ki kurtiyan zayaada jachtee hain. Aapko cotton aur silk fabric se bani kurtiyan zayaada jachenge gi kyun ki cotton aur silk fabric shareer se chipakta nahin hai. Cotton and Silk do not cling to the body. Aapko clingy clothes avoid karne chahiye. Aap par flowy A line kurtis zayaada suit karengi. V-shaped necklines yah embellished necklines aapki bust ko aapki looks ka center of attraction banayeingi. Dhaayan dijiye, round body type ki ladies ki bust unki looks ka sabse zayaada positive aspect hai, sabse zayaada attractive aspect aur hamein apne positive aspect ko highlight karna hai. Kurtis jin mein hem aur shoulder par embroidery ho rakhi hai, woh aapke attraction ko bahut badaeingi. Flared aur cuffed sleeves aap par bahut suit kareingi.

2. Doosri main body type hai rectangle shaped body type: Isse banana yah straight shaped body type bhi kaha jaata hai. Agar aapke shoulders, kandhey, aapki bust, chaati, aapki waist, qamar aur aapki hips ka measurement lag bhag lag bhag ek jaisa hai, straight line me hai toh aapka body type hai rectangle shaped body type. Iss body type ki ladies par broad, chodhi aur deep neck ki kurtis zayaada suit karti hain. Aapki waist par belt bahut attractive lage gi. Iss body type mein maaney rectangle shaped body type mein curves ki kami hoti toh aapko aisi kurtiyan pehenni chaiyein jinke design mein curves ho. Anarkali ya heavy fabrics se bani Kurtis aapke structure ko volume pradaan kareingi. Rectangle shaped body type mein volume ki kaami hoti hai. Panel Detailing waali kurtis aur kurtis jin mein pleats ho, woh aap par bahut suit karengi.

3. Teesri Body type hai Pear Shaped Body Type: Iss body type ko triangle shaped body type bhi kaha jaata hai. Iss body type main, aapke shoulders manney kandhay, aapki bust, chhati, aur appki arms, baazu kaafi narrow hoti hai, sankiuchit hoti hai hips ki tulna me. Iss body type main tulnatmak taur pe hips ki chaudai zayaada hoti hai. Aisi body type waali ladies ko flare waali kurtiyan pehenani chahiye. Straight cut long kurtis aapke structure ko length provide karein gi aur aapko attractive banaye gi. Iss body type pe collar pattern, boat neck aur square neck style waali necklines kaafi suit karti hain. Is body type ke liye, kurtiyon ki sleeves aisi honi chahiye jo aapki baazuon ko bhari hui shape de.

4. Chautha body type hai hour glass body type. Asthethics ke drishti kon se, fashion science ki nazariye se yeh body type sabse zayaada attractive, balanced aur symmetrical, sudol body type hai. Iss body type me shoulders, kandhein aur hips lag bhag lag bhag ek size key hote hain aur waist narrow hoti hai. Khobsurat aur shandaar curves iss body type ki pehchaan hain. Branded clothes, branded kapde issi body type ko dhyaan me rakh kar banaye jaate hain. Agar aapka yeh body type hai toh aap kaafi lucky hain kyun ki aap kisi bhi type ki kurti pehen sakti hain. Aap par har prakar ki kurtis suit kareingi.

5. Pachwa body type hai Inverted Triangle Shaped Body: ISS body type me shoulders manney kandhein aur Bust maaney chhati waist aur hips se zayaada chaudey hote hain. Personally meri body type bhi, Inverted triangle shaped body type hai. Iss body type waali ladies ko aisi kurtiyan pehenani hai jisse dekhene waale ka dhyaan lower body, nichli body ki taraf jaaye. Aisi Kurtiyoon ko avoid karein jinn mein shoulders detailing ho ya high necklines hon. Low neckline waali kurtiyan iss body type pe bahut suit karti hain. Fashion experts Short kurtiyan layered lowers jaise ki patiala ya skirts ke saath iss body type ke liye recommend karte hain. Raglan sleeves waali kurtiyan bhi iss body type ke liye recommended hai.

Friends, main aap sabhi ko dhanyawaad kehna chahte hoon ki aapne aapna samay iss video ko diya. Main aasha karte hoon ki hamare fabrics se banaye huye garments aur doosre products aapke jeevan me ek positive value add karein gey. Latest kurtiyon ke fabrics dekhne ke liye, niche description me diye link pe click kare.

Kissi bhi prakar ki fabrics ki jaankaari key liye aap humme +91-9971106200 par call kar sakte hain ya charu@charu.org.in par email bhej sakte hai. Aisey hi information bharey videos ko dekhne ke liye iss channel ko subscribe karein. Dhanyawaad. Aapka din shubh ho.

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

0
    0
    Your Cart
    Your cart is emptyReturn to Shop