X

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

Kaun se fabric ka Curtain aap aur aapkey parivaar ko gehri aur shaant neend ka anubhav, shaant neend ka experience dey sakta hai? Is prashan ke uttar ke liye iss video ko anth tak avashye dekhein.

Namaskar Mitron, main hon aapka Mitr, Tushar, Charu Creation Pvt Ltd se jo ki ek Fashion Fabric company hai Nehru Place, New Delhi me.

Mitron, gehri neend mein uttarne ke liye avashyak hai ki shareer aur mann dono shanth avastha mein hon. Ek taraf jahan roshni shareer aur mann dono ko urja pradaan karti hai wahin doosri taraf andhera, Darkness, Shareer aur mann dono ko shant hone mein sahayata karta hai. Aisa kehna galat nahi hoga ki gehri neend mein uttarne ke liye Gupt Andhera, utter darkness aur shant mahaul, quiet environment avashyak avasthayein hain, pre requistes hain.

blackout fabric se baney pardey aapko gehri neend mein uttarne key liye sahayak ho saktey hain. Toh kya hai yeh blackout fabric? Mitron, blackout fabric bananey kay liye Polyester fabric ya Nylon fabric kay upar kaaley rang ki foam ki coating kari jaati hai ya kehiye parat chadaayi jaati hai aur Phir Iss kaali parat kay upar, halke ya safaid rang ki foam ki parat chadaayi jaati hai. Jab Polyester ya Nylon fabric pay 2 layers, 2 parat chadi hoon toh ussey 2 pass Blackout fabric kaha jaata hai aur jab 3 layers, 3 parat chadi ho toh ussey 3 pass Blackout fabric kaha jaata hai. Doston, blackout fabric 90 se leker 99% tak, 90 to 99 percent light ko, roshni ko rok sakta hai, block kar sakta hai.

Issi wajah se, Joh log raat mein kaam karne key kaaran, din mein soote hain, unke liye toh blackout fabric curtains rambaan ki tarah hain.

Doston, aapko jaan ke heraani hogi ki blackout fabric ka avishkar dvitya vishwa yudh, second world war kay samay england mein hua tha. Tab iska prayog kamre kay andar ki roshni ko bahar jaane se rokney kay liya hota tha taaki dushman kay, shatru kay fighter jets ki bombing say bacha jaa sake. Mitron, yeh fabric roshni kay saath saath awaaz ko, noise ko bhi rokta hai, block karta hai. Blackout fabric se baney parde, baney curtains Students ka padaai par dhayaan badane ke liye, focus badane ke liye ek bahut aacha tareeka ho sakta hai.

Doston, Iss fabric ki khoobiyan yahin khatam nahi hoti. Iss fabric se baney pardey kamre kay taapmaan ko niyantrit rakhtein hain, room temperature ko maintain karte hain. Garmiyon mein kamrey ko thanda rakhte hain aur saardiyon main garam rakhte hain. Iska matlab aapka air conditioner ya heater kam bijli ka prayoog karey ga aur aapka bijli ka bill bhi kam aayega. Farsh ko, floors ko aur Kamre mein padey hue furniture ko bhi blackout fabric sooraj ki Ultra violet Rays se, suraj ki haani karak kirnon se bachataa hai. Issi khoobi Kay kaaran iss fabric ko urja sanrakshan ya energy conservation key liye bahut opyukt, appropriate maana jaata hai.

 Mitron, Samajhdaar restaurant owners blackout fabric curtains ka kaafi aacha prayog karte hain. Restaurant mein lagey huey blackout fabric curtains, blackout pardey roshni ko, awaaz ko, aur taapmaan ko temperature ko niyantrit kartey hai, control kartey hain aur parinaam swaroop hamari jeebh par, tongue par upastith taste buds zayaada activate ho jaate hain, adhik sakriye ho jaate hain aur hummey khaaney main Adhik swaad aata hai. Innhi khoobiyon key kaaran kayi log food experience ko behtar bananey key liye apne dining room mein blackout fabric curtains ka prayoog karte hain.

Blackout fabric projector screen bananey ke liye bhi ek bahut aacha option hai. Chemical treatment dwaara, blackout fabrics ko fire-retardant, agni virodhak bhi banaaya ja sakta hai. Koyi heraani ki baat nahi hai ki itni saari khoobiyon waale blackout fabric ka prayog alag alag jagaahon jaise hospitals, cinema halls, auditoriums, planetariums aur anek anek jagahoon par hota hai. Yeh fabric kewal kaale rang, black color hi nahi balki anek anek rango mein, multiple colors me uplabdh hai.

 Doston, itni khoobiyon key saath saath, blackout fabric ki ek khaami bhi hai. Blackout fabric kuch logon ko suit nahi karta. Blackout fabric key nirmaan mein prayog hue chemical mein Volatile Organic Compunds, VOC hote hain. Yeh VOC samay key saath saath bahut bareek maatra mein hawaa mein ghul jaate hain jinke kaaran kuch logon ko allergy, migraine, siir dard, saans lene mein samasaya, jaisee pareshaniyaan ho sakti hai. Shodh key anusaar, research key anusaar aise log bahut choti maatra mein hain, jinhe blackout fabric se samasya hui hai magar haan aise kuch log hain jinhe blackout fabric suit nahi karta.

Mitron, iss video ko dekhne ke liye aap sabhi ka bahut bahut abhinandan. Main aasha karte hoon ki hamare fabrics se banaye huye products aapke jeevan me sakaraatmak urja, positive energy ko badaayenge. 

Blackout fabrics ki collection dekhne ke liye, niche description me diye gaye link pe click kare. Kissi bhi prakar ki fabrics ki jaankaari key liye aap humme +91-9971106200 par call kar sakte hain ya charu@charu.org.in par email bhej sakte hai. Aisey hi information bharey videos ko dekhne ke liye iss channel ko avashya subscribe karein. Dhanyawaad. Aapka din shubh ho.

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video


scroll down for video

0
    0
    Your Cart
    Your cart is emptyReturn to Shop