X

scroll down for video

Kya aap Jackets aur Coats banana chahtey hain magar nahi jaante ki kaunsey kapde ka prayog kiya jaye, kaunsa fabric ka use kiya jaaye, toh yeh video anth tak avashaye dekhein. Namaskar Mitron, main hon aapka Mitr, Tushar, Charu Creation Pvt Ltd se jo ki ek Fashion Fabric company hai Nehru Place, New Delhi me.

Mitron, Jackets aur Coats bananay key liye aapko ko 2 mukhya prakaar key kapdon ki, fabrics ki avashyakta hogi. Pehla prakaar hai Shell Fabric: Kisi bhi Jacket ya Coat kay bahari kapdey ko, outer fabric ko shell fabric kaha jaata Hai

Shell fabric ko hi sab logon ki aankhein dekh paati hain. Shell fabric ka print, color, design, texture, shape ityaadi hi logon ko visible ho paata hai. Mausam sey raksha karney me shell fabric aiham bhumika nibhaata hai. Toh mitron aab baat karte hain ki shell fabrics me aap key liye kaun kaun se fabrics key options available hain, kaun kaun se kapdo key vikalp upalabdh hain. Toh sabse pehla option, sabse pehla vikalp aap key liye hai Wool fabric ka. Textile experts kay anusaar, kapdon key visheshagyon kay anusaar, wool fabric winter jackets aur coats, Sardiyon me prayog hone waali jackets aur coats bananey key liye sabse shresth, sabse uttam vikalp hai. Bhed ki oon se nirmit wool fabric lightweight, halka fulka, honay ke saath saath durable artharth tikau bhi hoota hai.

Wool fabric me air pockets hotey hain artharth hawa ki choti choti jaybein hoti hain jo ki jackets aur coats ko natural insulation provide karaati hain ya kaahein prakritik taapavarodhan uplabdh karaati hain jis kaaran wool se baney jackets aur coats sardiyoon main bahut garm rehte hain. Wool fabric Water repellent Artharth jal pratirodhee hota hai aur geelay mausam me aapko dry, sukha rakhne mein sahayta karta hai. Doosra fabric jisse aap shell fabric ki tarah prayoog kar sakte hain apni jacket aur coat bananey key liye, woh hai Faux Fur.

Isse kayi baar Fokes Fur kay pronunciation, uchaaran se bhi pukaara jaata hai. Iska arth hota hai nakli fur. Acrylic aur modacrylic polymers se nirmit yeh nakli fur asli fur key samaan garmaish, warmth pradaan karta hai. Asli fur ki tulna me faux fur ki dekh rekh karna bahut saral hai. Iska arth yeh hai ki faux fur se nirmit jacket bahut Lambey samay ke liye prayoog me laayi ja sakti hai. Teesra fabric jiska aap prayog kar sakte hain Jacket bananey key liye, woh hai Flannel. Flannel avishvasaneey roop se aaraamadaayak, mazboot aur tikaoo fabric hai. Wool key samaan hi Flannel me bhi hawa ki choti choti jaybein hoti hain jo ki aapko thand se sukarshit rakhti hai.

Flannel fabric ki sabse khaas baat iski versatility hai. Flannel fabric se baney Jackets aur Coats casual aur formal dono hi occasions, dono hi paristhithiyon me pehney ja sakte hain. Agla fabric jisse aap shell fabric ki tarah prayog kar sakte hain, woh hai Corduroy fabric. Corduroy ek aisa fabric hai joh ki fashion se kabhi bahar nahi hota. Garmi pradaan karne waala aakarshak corduroy fabric apni unique construction, anokhi banavat ke kaaran thick, mota hone key saath saath bahut soft, mulayam hota hai.

Mitron, ab baat karte hain wonder fabric, jaadui kapdey Hemp ki. Yeh ek aisa fabric hai joh garmiyon mein thandak evam sardiyon mein garmaish pradaan karta hai. Hemp fabric sensitive Skin, sanvedanasheel tvacha waale Logon ke liye ek bahut achha option, uttam vikalp hai. Hemp fabric ke upar humne ek alag se detailed video banaya hua hai jiska link iss video key description me diya hua hai.

Mitron, aaj key samay mein, Polyester key fiber, Polyester key reshey se baney hue Fleece Fabric ka badi maatra mein Winter Jackets ka nirman karne mein prayog hota hai. 100% machine washable, sau pratishat machine me dhoye ja sakne waala Fleece fabric soft, mulayam hone key saath saath kadak thand se bhi bachata hai. Haalaanki, yeh water-resistant, jal pratirodhee nahi Hota. Mitron, ab baat karte hain sabse popular, sabse lokpriye Jacket fabric ki. Aur woh hai cotton se bana Denim fabric.

Twill weave me buna hua Denim fabric halke thandey mausam ke liye ek dum upyukt hai. Jitney alag alag prakaar key finishes, jitni variety Denim fabric me milti hai, shayad hi kissi aur fabric me milti ho. Aur issi karaan, denim Fashion designers ka chaheta fabric hai. Mitron agar aap summers aur spring, garmi aur basant ke mausam me prayog karne key liye jacket aur coat banana chahate hain toh linen fabric ek bahut acha option ho sakta hai. Mitron, jaise ki maine aapko video key aarambh me bataya tha ki jackets aur coats bananey me aapko do mukhya prakaar key fabrics ki avashyakta hogi. Pehla prakaar Shell fabrics, jiske baarey me hum charcha kar chukey hain. Doosra mukhya prakaar hai Lining Fabric.

Lining fabric ka prayog karne key kayi karaan hai. Pehla karaan- Lining Fabric ki vajah se Jacket aur Coat apni shape maintain kar paatey hain, apna aakaar banaye

rakh paatey hai. Doosra kaaran- Lining fabric insulation ki extra layer provide karta hai, taapavarodhan ki atirikt parat pradaan karta hai jis kaaran thand se bachaav hota hai. Teesra Kaaran- Lining fabric coarse shell fabric, khurdara shell fabric jaise ki wool aur wearer, pehenene waale ki beech ek soft layer, mulayam parat pradaan karta hai jiske parinaam swaroop Jacket aur Coat shareer ko chubhtey nahi hain aur aaraamdayak prateet hote hain. Mitron, lining fabrics me aapke paas kayi vikalp hain jaise ki silk, cupro fabric, cotton, polyester, ityaadi. Mitron, inn sabhi Lining fabrics ki adhik jaankaari key liye aap inn fabrics par humare dwaara banaye gaye videos dekh sakte hain.

Inn videos key links iss video key description me diye gaye hain. Mitron, iss video ko dekhne ke liye main aap sabhi ka abhaar prakat karta hoon. Main aasha karte hoon ki hamare fabrics se banaye huye products aapke jeevan me sakaraatmak urja, positive energy ko badaayenge. Jacket aur Coats key fabrics ki collection dekhne ke  liye, niche description me diye gaye link par click kare. Kissi bhi prakar ki fabrics ki jaankaari key liye aap humme +91-9971106200 par call kar sakte hain ya charu@charu.org.in par email bhej sakte hai. 

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

Chhipa samudaay dwara chappa hua yeh Kapda, yeh Fabric Rajasthan ki shaan hai.

Namaskar Mitron, main hon aapka Mitr, Tushar, Charu Creation Pvt Ltd se jo ki ek Fashion Fabric company hai Nehru Place, New Delhi me. Mitron, aaj key iss video me hum baat karenge Rajasthan ke bahu charchit kapde, bahut hi famous fabric Hand Block Printed Fabric ki. Hand Block Printing takaneek dwaara chappe hue kapde ko, print hue fabric ko Hand Block Printed Fabric kaha jaata hai.

Itihaaskaroon key anusaar, Hand Block Printing Takneek ka avishkaar lag bhag 2000 varsh purv China me hua tha. Bharat desh me lag bhag baarahaveen shataabdee me yeh takneek bade istarr par viksit hui. Adhunik yug mein, aaj key samay mein, Bharat key paschimi pradesh Rajasthan ko poore vishwa mein Hand Block Printing ka sabse bada kendra bananey ka shrey Rajasthan me baseey Chhipa samudaay key logoon ko jaata hai jo sadiyoon se Hand Block Printing kartey aa rahey hain.

Rajasthan key atirikt, Hand Block Printing Uttar Pradesh, Madhya Pradesh, Gujarat, Paschim Bengal, Telangana evam Andhra Pradesh mein bhi prachalit hai. Iss takneek mein, wooden blocks ko, lakdi ke mudran khandoon ko Natural ya synthetic colors me dubokar, Arthath prakritik ya kritrim taur se nirmit rangon me dubokar kapde par printing, chappai kari jaati hai. Sabse pehle desired Pattern ya Design ko arthath vanchit pratiroop ko shisham ya sagwan se baney wooden blocks mein, lakdi key khandon mein carve kiya jaata hai, taraasha jaata hai. Agar Print mein 10 color hain, toh 10 wooden block banaye jaayenge.

Arthath har rang ke liye ek wooden block. Mitron, Wooden Block 2 Prakaar key hote hain. Pehley prakaar ka naam hai Rekh. Rekh ka prayoog kissi bhi design key, print key outline, border arthath roop rekha bananey key liye kiya jaata hai. Doosra Prakaar hai Gadh. Gadh ka prayoog design key andar rang bharne ke liye kiya jaata hai. Wooden blocks mein designs taraashne key liye bahut nipunta ki, expertise ki avashyakta padti hai. Motey motey taur par 3 prakaar key designs wooden blocks mein taraashey jaatey hain.

Pehla prakaar hai Geometrical designs jaise lines, squares, rectangles ityaadi.

Doosra prakaar hai Floral designs jaise paisley arthath booti, vibhin prakaar key phool, vriksh aur patiyan.

Teesra prakaar hai Tribal Designs ka. Iss prakaar mein vanvaasi loogon key dainik jeevan ko pradarshit kiya jaata hai.

Mitron, dakshin bharat ki prasidh Kalamkari Printing Takneek, Madhya Pradesh Ke Bagh Prints, Gujarat ki Ajrakh Printing Takneek, Rajasthan key Bagru Prints, yeh sabhi vibhin prakaar ki Hand block Printing Takneekey hain.

Hand block printed Fabrics ka prayoog bade istarr par sarees, suits, dresses, table covers, cushion covers, curtains, hand bags, ityaadi key nirman mein hota hai. Mitron, iss video ko dekhne ke liye main aap sabhi ka bahut bahut abhaari hoon. Main aasha karte hoon ki hamare fabrics se banaye huye products aapke jeevan me sakaraatmak urja, positive energy ko badaayenge.

Hand Block fabrics ki collection dekhne ke liye, niche description me diye gaye link pe click kare.

Kissi bhi prakar ki fabrics ki jaankaari key liye aap humme +91-9971106200 par call kar sakte hain ya charu@charu.org.in par email bhej sakte hai. Aisey hi information bharey videos ko dekhne ke liye iss channel ko avashya subscribe karein.

Dhanyawaad. Aapka din shubh ho.

scroll down for video

scroll down for video

scroll down for video

0
    0
    Your Cart
    Your cart is emptyReturn to Shop